Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

URDUSHAIRI - Topics
Create Your Own App Store

* URDUSHAIRI > Topics


Subject: ****URDU SHAIRI****
Replies: 46 Views: 1578

zobi1 14.02.13 - 11:03am
Faiz Ahmad Faiz Poetry
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna Faiz
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay *

zobi1 14.02.13 - 11:08am
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
Faiz Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia *

zobi1 14.02.13 - 11:09am
Faiz Ahmad Faiz Poetry
Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge
*

zobi1 14.02.13 - 11:09am
Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena!
*

zobi1 14.02.13 - 11:10am
Phir nazar mein phool mehke, Dil mein phir shamain jalin,
Phir tassawur ne liya uss bazmm mein jaane ka naam.. *

zobi1 14.02.13 - 11:10am
Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi,
Tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale *

zobi1 14.02.13 - 11:11am
Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K
Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai
Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K
Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K
Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj Faiz
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K *

zobi1 14.02.13 - 11:11am
Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?
Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?
Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad
Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad
Un Se Jo Kehnay Gaye Thay Faiz Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad *

zobi1 14.02.13 - 11:12am
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo Faiz Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain *

zobi1 14.02.13 - 11:18am
Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se *

zobi1 14.02.13 - 11:20am
Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain
Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain
Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain
Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain
Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain
*

zobi1 14.02.13 - 11:21am
aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin
aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye
*

zobi1 14.02.13 - 11:23am
Ahmad Nadeem Qasmi Poetry
Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,
Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,
Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,
Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,
Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,
Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya. *

zobi1 14.02.13 - 11:29am
Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,
Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,
Meri peyason, meri aason, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,
Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,
Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,
Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho.. *

zobi1 14.02.13 - 11:30am
Jo buraayi mere naam se mansoob huyi,
Dosto! kitna bura tha mera acha hona.. *

zobi1 14.02.13 - 11:34am
Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka,
Chand yaadain mere dil mein se guzarna chahain.. *

zobi1 14.02.13 - 11:34am
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,
Zehen chhalni jo kiya hai, to yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, tere samne roye kese *

zobi1 14.02.13 - 11:34am
Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna,
Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna
Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,
Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,
Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna *

zobi1 14.02.13 - 11:35am
Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
TU Sirf Nahi Hai, Waraa-e- Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?
Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon
Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon!
*

zobi1 14.02.13 - 11:38am
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,
Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese *

zobi1 14.02.13 - 11:42am
Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani
Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani
Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz Faani
Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani
Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani
Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani *

zobi1 14.02.13 - 11:44am
Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai mein yeh raat gaye kon aya hai
Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai
Woh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai
Mein phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko
Ankhon ki ibaadat ka mein ne bss aik yehi phal paya hai
Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi o gham ke hangamey
Sunte hain Chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai *

zobi1 14.02.13 - 11:46am
Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna
Sar jo kat jaye to dastar sambhaley rakhna
Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
Zulmat gham isi tarey se ujahely rakhna
Apne ehbaab ko seeney se lagaye phira
Aik khanjar bhi jaib mein daley rakhna
Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaley rakhna
Dasht ehsaas ki hiddat bhi kayamat hai nadeem
Kuch zaroori tou nahin paon mein chaley rakhna *

zobi1 14.02.13 - 11:48am
wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the
?Nadeem? jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the *

zobi1 14.02.13 - 11:53am
Ahmad Nadeem Qasmi Poetry
Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota *

zobi1 15.02.13 - 03:28am
Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar,
Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar.. *

zobi1 15.02.13 - 03:29am
Bethe bethe hi ageya na janey kya kheyaal,
Pehron lipat kar roye dil-e-nadaan se hum.. *

zobi1 15.02.13 - 03:29am
Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,
Mujhe andar se sehraa kar rahe hain.. *

zobi1 15.02.13 - 03:30am
Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi,
Zindagi aankh ke paani mein mila li mene. *

zobi1 15.02.13 - 03:32am
Mere haal pe yeh hairat kesi, dard k tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa.. *

zobi1 15.02.13 - 03:33am
Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ?? *

zobi1 15.02.13 - 03:34am
Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye.. *

zobi1 15.02.13 - 03:35am
Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi,
Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya.. *

zobi1 15.02.13 - 03:35am
Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote.. *

zobi1 15.02.13 - 03:36am
Ghar ki taameer chahey jesi ho,
Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna.. *

zobi1 15.02.13 - 03:37am
Yeh dil bohat udaas hai jab se khabar huyi,
Miltey ho tum khuloos se har aadmi ke sath.. *

zobi1 15.02.13 - 03:42am
Faraz Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
Faraz Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi
*

zobi1 15.02.13 - 03:44am
Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni,
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon ge.. *

zobi1 15.02.13 - 03:44am
Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door.. *

zobi1 15.02.13 - 03:45am
Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas nahin.. *

zobi1 15.02.13 - 03:48am
Tu hay suraj tujhe raat ka kaha maloom
tu kesi rooz utar mery ghar mai shaam ke bad *

zobi1 15.02.13 - 03:49am
Khulta kisi pay kya mery dil ka muamla,
Shairon k intekhab nay ruswa kia mujhy..!! *

zobi1 15.02.13 - 03:50am
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
*

zobi1 15.02.13 - 07:45am
Nazar se nazar ko milao nazar ka aitbar karo,
Hum tum se sanam, tum hum se pyaar karo,
Tum jo rootho to kuch bhi karke manaayen tumko,
Hum jo pal bhar ko jayen to tum intizaar karo.. *

zobi1 15.02.13 - 07:49am
Mere chehre se mera dard na pehchan pao gay...
Meri aadat hai har baat pe youn muskuraa denaa.. *

zobi1 15.02.13 - 07:50am
Is Baarish Kay Mausam Main Ajeeb Si Kashish Hai,
Na Chahte Howay Bhi Koi Shidat Say Yaad Aata Hai *

zobi1 15.02.13 - 07:51am
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahaar hain,
Jo thehar gayi tou qaraar hain,
Kabhi aa gayi yunhi besabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,
Ye barishain bhi tum si hain,
Raat ko ik dabi hui si raakh ko,
Kabhi yun hua ke bujha dia,
Kabhi khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain,
Ye barishain bhi tum si hain.. *


* Reply
* URDUSHAIRI Forum


Search:
topics replies


* URDUSHAIRI

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store